Gulam hazir e darbar ho gaya Khwaja
Idhar bhi nazr e karam kijiye zara Khwaja
Tumhare fazl ki ummid par main zinda hoon
Kabhi to mujhpe bhi ho jayegi Ata Khwaja
Meri muraad pe kardo karam ki ek nazar
Kayi baras se sada de raha gada Khwaja
Chhati he aapki sadka sabhi ko bat ta hai
Pasare daman e ummid he gada Khwaja
Gunahgar hoon Khwaja magar tumhara hoon
Maraz se ab to gunaho ke do shifa Khwaja
Nibha rahe ho jo duniya me apne bande ko
Baroz e hashr bhi isko na bhulna Khwaja
Tumhare dar pe gadaon ko bheek milti hai
Nafees ka bhi zara sunlo mudd'aa khwaja