Friday, December 19, 2025

Gareeb Nawaz manqabat naat lyrics

Gulam hazir e darbar ho gaya Khwaja 

Idhar bhi nazr e karam kijiye zara Khwaja


Tumhare fazl ki ummid par main zinda hoon

Kabhi to mujhpe bhi ho jayegi Ata Khwaja 


Meri muraad pe kardo karam ki ek nazar 

Kayi baras se sada de raha gada Khwaja


Chhati he aapki sadka sabhi ko bat ta hai

Pasare daman e ummid he gada Khwaja 


Gunahgar hoon Khwaja magar tumhara hoon

Maraz se ab to gunaho ke do shifa Khwaja 


Nibha rahe ho jo duniya me apne bande ko 

Baroz e hashr bhi isko na bhulna Khwaja 


Tumhare dar pe gadaon ko bheek milti hai

Nafees ka bhi zara sunlo mudd'aa khwaja



Tuesday, November 25, 2025

Assalam assalam lyrics by nafees Hussain Attari

 Assalam assalam lyric by nafees Hussain Attari 


https://youtu.be/sz50hmd6uWw


Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam 

Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam 


Mere pyare Nabi ﷺ tum pe lakho Salaam

Mere pyare Rasool tum pe lakho Salaam 


Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam 

Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam


Be kaso be nawaon ka lijiye Salaam 

Ba adab arz karte he saare Gulaam


Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam 

Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam


Apki aal par sare  as-haab par 

Apki zaat par ho durood o Salaam 


Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam 

Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam


Naam se aapke mere bigde huwe 

Ban gaye khud ba khud mere sare hi kaam


Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam 

Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam


Arz karta he tumse nafees e raza 

Barzakho akhirat me bane mere kaam 


Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam 

Assalam assalam ya Nabi ﷺ Assalam